sitara aankh mein dil mein gulab kya rakhna ki dhalti umr mein rang-e-shabab kya rakhna jo regzar-e-badan mein ghubar udta ho to chashm-e-khak-e-rasida mein khwab kya rakhna safar nasib hi thahra jo dasht-e-ghurbat ka to phir guman mein fareb-e-sahab kya rakhna jo dub jaana hai ek din jazira-e-dil bhi to koi naqsh sar-e-sath-e-ab kya rakhna ulat hi dena hai aakhir piyala-e-jaan bhi hawa ke dosh pe tasht-e-habab kya rakhna bas itna yaad hai ek bhul si hui thi kahin ab is se badh ke dukhon ka hisab kya rakhna