hum dhundte hain bagh mein is gul-ezar ko jalwa ne jis ke rang diya hai bahaar ko tum jate ho to jao khuda ke liye magar le jao apne sath na sabr-o-qarar ko hum husn-e-itiqad se samjhe chadhae phul gul kar diya jo us ne charagh-e-mazar ko di kis ne is ko ja ke nawed-e-qudum-e-yar hai nagawar bagh se jaana bahaar ko us but mein nur-e-qudrat-e-khaliq hai mustatar patthar ne kya chhupaya hai dil mein sharar ko 'mushtaq' gham ko pas na aane de zinhaar khush khush guzar zindagi-e-mustaar ko