bazm-e-khuban se uthe dar-o-rasan tak pahunche aap hi aap mere panw gagan tak pahunche ek main hi tha jo sayyaad ki jholi mein gira ud gae sare parinde jo chaman tak pahunche sirf dil hi ko jalana to koi baat nahin ishq ek aag agar hai to badan tak pahunche bandishon hi ki numaish hai hayat-e-adam ek dhage se bandhe aur kafan tak pahunche umr kamtar hi se koshish thi musalsal jari sher apna bhi koi tarz-e-sukhan tak pahunche aakhiri ek ye khwahish hai mere sine mein khak jab meri ude apne watan tak pahunche sharm ka phul main aankhon se teri chun lunga is se pahle ki jhade aur dahan tak pahunche aasmanon ko daba lega wo pairon ke tale shauq insan ka gar us ki lagan tak pahunche kya zarurat ki karen chal ke tawaf-e-duniya fikr apni ye agar gang-o-jaman tak pahunche soch lena tha tujhe itna ki kya hoga 'nadim' aaj ka sher agar tere sajan tak pahunche