hum dil ki tabahi ka ye saman na karenge is ghar mein kisi aur ko mehman na karenge ghabra ke kabhi chaak gireban na karenge badnam tujhe fasl-e-bahaaran na karenge mishal ko charagh-e-tah-e-daman na karenge jo dagh hain sine mein wo pinhan na karenge takraenge tere liye har mauj-e-bala se sahil pe khade shikwa-e-tufan na karenge ai wo ki teri yaad hai taskin-e-dil-o-jaan haalat hamein kuchh bhi pareshan na karenge ye dard ki hai teri mohabbat ki amanat mar jaenge is dard ka darman na karenge ai dost mohabbat ki nazakat hai nazar mein hum tujh ko kisi taur pashiman na karenge dil mein hai teri chah to ai jaan-e-tamanna hum aur kisi chiz ka arman na karenge