darwesh qaid-e-gham mein dil-e-zar ho gaya aazad ho gaya jo giraftar ho gaya yusuf bhi lakh jaan se kharidar ho gaya tu ghar mein ghul tera sar-e-bazar ho gaya rakhna tariq-e-ishq mein dala jo hijr ne nasur dil ka rauzan-e-diwar ho gaya qatil ne qatl bhi jo subuk jaan kar kiya lasha ba-rang-e-ruh subuk-bar ho gaya ugla jo zahr afi-e-gesu-e-yar ne har mu-e-mar-e-zulf-e-siyah mar ho gaya soya hain wasl-e-shauq mein jaga wo naz se main be-khabar hua wo khabar-dar ho gaya bhaga gaya na lash pe ghash kha ke gir pada qatil ye mere khun mein giraftar ho gaya ishq-e-sanam gale ka mere haar ho gaya gardan ka tar rishta-e-zunnar ho gaya paigham-e-wasl hi mein khafa yar ho gaya iqrar ho gaya na kuchh inkar ho gaya sham-o-sahar chamakne jo dagh-e-jigar laga khurshid-e-roz-o-sham-e-shab-tar ho gaya kar-e-rah-e-khuda na hua maut aa gai ghaflat se banda dida-e-bedar ho gaya qatil jo gul khilane laga shakh-e-tegh se maqtal bhi dam mein takhta-e-gulzar ho gaya khodi jo nahr kohkan-e-jeb-e-chaak ne sau ja se tukde daman-e-kohsar ho gaya yaad-e-butan se kaba-e-dil but-kada hua tar-e-nafas bhi rishta-e-zunnar ho gaya roya tulu-e-mehr-e-tan-e-ghaur par jo 'arsh' aab-e-rawan se jama-e-zartar ho gaya