hum doston ke lutf-o-karam dekhte rahe hote rahe jo dil pe sitam dekhte rahe khamosh qahqahon mein bhi gham dekhte rahe duniya na dekh pai jo hum dekhte rahe allah-re josh-e-ishq ki uthti jidhar nazar tum ko hi bas khuda ki qasam dekhte rahe nagah pad gai jo kahin un pe ek nazar ta-der apne aap ko hum dekhte rahe hum ne to badh ke chum liya aastan-e-yar hasrat se hum ko dair o haram dekhte rahe jo sath mere chal na sake rah-e-shauq mein wo sirf mere naqsh-e-qadam dekhte rahe barson ke baad un se mile bhi to is tarah pahron wo hum ko aur unhen hum dekhte rahe har sham ek khwab-e-sahar mein guzar di har subh ek sham-e-alam dekhte rahe chalte hi daur-e-jam jo ahl-e-nigah the kis kis ki aastin thi nam dekhte rahe sab kuchh wahi tha phir bhi gulistan mein aaj hum kya shai thi ho gai hai jo kam dekhte rahe basti mein log aise bhi hain kuchh base hue aaya jidhar se tir-e-sitam dekhte rahe aae the apne chahne walon ko dekhne kitna hai kis mariz mein dam dekhte rahe