hum duniya se jab tang aaya karte hain apne sath ek sham manaya karte hain suraj ke us jaanib basne wale log aksar hum ko pas bulaya karte hain yunhi khud se rutha karte hain pahle der talak phir khud ko manaya karte hain chup rahte hain us ke samne ja kar hum yun us ko chakh yaad dilaya karte hain nindon ke viran jazire par har shab khwabon ka ek shahr basaya karte hain in khwabon ki qimat hum se puchh ki hum in ke sahaare umr bitaya karte hain ab to koi bhi dur nahin to phir 'taimur' hum khat kis ke nam likhaya karte hain