maine baKHsh di teri kyun KHata tujhe ilm hai

main ne bakhsh di teri kyun khata tujhe ilm hai
tujhe di hai kitni kadi saza tujhe ilm hai

main samajhta tha tu hai apne husn se be-khabar
teri ek ada ne bata diya tujhe ilm hai

mujhe zindagi ke qarib le gai justuju
mari justuju bhala kaun tha tujhe ilm hai

main ne dil ki baat kabhi na ki tere samne
mujhe umr bhar ye guman raha tujhe ilm hai

wo meri gali jo mere liye hui ajnabi
kabhi wan the sab mere aashna tujhe ilm hai

mera haal dekh ke puchhne laga kya hua
main ne hans ke sirf yahi kaha tujhe ilm hai

koi baat hai ki kinara-kash hun jahan se
kabhi mahfilon ki main jaan tha tujhe ilm hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close