hum dur dur ho ke bhi hote hain aas-pas

hum dur dur ho ke bhi hote hain aas-pas
pate dayar-e-ghair mein khote hain aas-pas

hai be-khudi ki tark-e-talluq na puchhiyo
tanhai ke gazida hain hote hain aas-pas

koi nahin hai shahr-e-khamoshan mein yar-dost
sab apne aap hanste hain rote hain aas-pas

kya kijiye nifaq-o-hasad kina-parwari
karte kashid hain kahin bote hain aas-pas

dil ke talluqat hain dil ke talluqat
yan dil se ghair ghair bhi sote hain aas-pas

hai mail sab jahan ka hua us taraf hi jama
jo kuchh bhi gard-e-rah hai dhote hain aas-pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close