husn-e-takhil ka paikar thahra jo mere dard ka mehwar thahra rang dikhlae hawaon ne bahut shauq zakhmon ka payambar thahra jaane kis ghar mein jali hain shamen jaane wo kis ka muqaddar thahra kaun ehsas ki tah tak pahunche kaun is dasht ka sarwar thahra main sitaron ki qaba pahnunga tu agar sham ka manzar thahra log ghabrae hue phirte hain kaun is daur ka rahbar thahra 'kazmi' sabr o wafa ka shair goya khwabon ka samundar thahra