hum e’takaf-e-kucha-e-jaanan na kar sake dagh-e-jigar ko sho’la-e-raqsan na kar sake aai bahaar jab bhi rahe dil-figar hum hum e'tibar-e-fasl-e-bahaaran na kar sake auron ke kaam aae sharik-e-alam hue lekin hum apne dard ka darman na kar sake hum ko raza-e-dost ki khatir 'aziz thi wo jab mile to un ko pasheman na kar sake ghairon ke jame par rahi ahbab ki nazar apna rafu-e-chaak-e-gareban na kar sake kuchh to mudawa kijiye ho kar sharik-e-gham insan nahin jo khidmat-e-insan na kar sake ghunchon mein bhi unhin ka tabassum hai aashkar ye aur baat hai koi ‘irfan na kar sake guzri tamam umr andhere mein ai 'zaki' hum sham'-e-arzu ko farozan na kar sake