hum ek umr jale sham-e-rahguzar ki tarah ujala ghairon se kya mangte qamar ki tarah kahan ke jaib-o-gareban jigar bhi chaak hue bahaar aai qayamat ke nama-bar ki tarah karam kaho ki sitam dil-dahi ka har andaz utar utar sa gaya dil mein neshtar ki tarah na hadson ki kami hai na shorishon ki kami chaman mein barq bhi palti hai baal-o-par ki tarah na-jaane kyun yahan viraniyan barasti hain sabhi ke ghar hain ba-zahir hamare ghar ki tarah khuda kare ki sada karobar-e-shauq chale jo be-niyaz ho manzil se is safar ki tarah bas aur kya kahen rudad-e-zindagi 'taban' chaman mein hum bhi hain ek shakh-e-be-samar ki tarah