mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye bolta nahin ai dil-e-be-talab! bata kya koi muddaa nahin ahl-e-junun ko ab ke bhi izn-e-junun mila nahin ab ke baras bhi bagh mein phul koi khila nahin apna qusur hai to ye, aur koi khata nahin hum ne faqih-e-shahr ko mana kabhi khuda nahin ye to hua ki raushni aur bhi kuchh bhadak uthi tez hawa ke bawajud dil ka diya bujha nahin rah-e-talab mein aaj tak ahl-e-talab ka qafila yun hi rawan-dawan raha aur kabhi thaka nahin kis se talab karen bhala khun ka apne khun-baha apne alawa aur koi apna harif tha nahin dil ka ajib rang hai aur wo shakhs sang hai ta-ba-nigah dur tak jis ka koi pata nahin