hum gardish-e-dauran ke sitam dekh rahe hain be-chaargi-e-ahl-e-karam dekh rahe hain hum dil pe sahe jate hain har tir-e-jafa ko hai kis ka jigar dekhe jo hum dekh rahe hain hai ye to yaqin badlega andaz-e-zamana filhaal to hum shiddat-e-gham dekh rahe hain isar-o-murawwat hain jo tum dekh rahe ho be-dad-o-taghaful hain jo hum dekh rahe hain hans hans ke sahe jate hain har taza-sitam ko hum shiddat-e-alam ka dukh dekh rahe hain har halqa-e-zanjir ko yun chuma nazar ne hum jaise teri zulf ke kham dekh rahe hain baithe hain 'nadim' ab bhi liye hasrat-e-didar phir su-e-dar-o-baam sanam dekh rahe hain