hum gharibon par jafa achchhi nahin bekason ki bad-dua achchhi nahin maut aae ye dua achchhi nahin hijr mein bhi maut kya achchhi nahin dil-lagi mein bhi to bigdi hai bahut baat ye zulf-e-rasa achchhi nahin hath rangne ka lahu se ho guman shokh itni bhi hina achchhi nahin kyun udati khak aati hai bahaar chhed asiron se saba achchhi nahin kaam maikhane ka ho jaega band chashm-e-saqi ki haya achchhi nahin bosa-e-lab se nahin chalta hai kaam galiyon ki ye saza achchhi nahin shaikh ye kahta gaya pita gaya hai bahut hi bad-maza achchhi nahin dil wo sab ke len ye hai achchhi ada jaan lene ki ada achchhi nahin gham ghalat karne ko main kitni piyun raat-din gham ki ghata achchhi nahin ek kafir mujh se ye kahta gaya raat-din yaad-e-khuda achchhi nahin mai-kade ko chhod kabe ja 'riyaz' ghaflat ai mard-e-khuda achchhi nahin