na sahn-o-baam na diwar-o-dar purane hain agar makin hain purane to ghar purane hain sakhawaton hi ke dam se hai tazgi ka bharam samar na den to yaqinan shajar purane hain dil aisi surat-e-tamir par jame kab tak tamam naqsh hi diwar par purane hain hawa ki lahr hai ab jis tarah bhi shohrat de junun purana na aashufta-sar purane hain qabahaten to yahin hain masafaton mein meri safar naya hai sharik-e-safar purane hain main na-balad hun rafu ki riwayaton se to phir nikalte kyun nahin jo bakhiya-gar purane hain ye rabt-e-khair nishan hai saf-e-hunar ke liye jo kuchh nae hain to kuchh dida-war purane hain sabhi kharabe hain dosh-e-zamin pe bar magar ziyaada bojh wo hain jo khandar purane hain