hum hain mushtaq-laqa hum ko wo Talen kyon kar

hum hain mushtaq-laqa hum ko wo talen kyon kar
aur talen bhi to hum dil ko sambhaalen kyon kar

zulm karne ko wo kahte hain barabar hum se
fikr ye hai ki ise bazm se talen kyon kar

har ghadi zulm-o-sitam ka unhen rahta hai khayal
apne aashiq ki tamanna wo nikalen kyon kar

sharm aati hai unhen kar ke jafa hazrat-e-dil
samne aap ke wo nam-e-wafa len kyon kar

nala karte hain jo aashiq to wo hote hain khafa
munh se ab harf-e-tamanna ye nikalen kyon kar

rafta-rafta sitam-e-charkh ke aadi honge
yak-ba-yak bar-e-garan sar pe utha len kyon kar

dil liya tha mera bachpan mein usi din ke liye
phir chalen aap jawan ho ke na chaalen kyon kar

us ke kuche se nikalna to hai aasan apna
lekin arman dil-e-shaida se nikalen kyon kar

naz uthane ko to 'hamid' bhi wahan ja baithe
ab sambhalta nahin dil un se sambhaalen kyon kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close