jo dil pe tir tumhaari ada ke baiThe hain

jo dil pe tir tumhaari ada ke baithe hain
wo goya ban ke farishte qaza ke baithe hain

jo mai-kade mein ye mai-khwar aa ke baithe hain
na be-gharaz ke na be-muddaa ke baithe hain

sanam-kade hue mamur haq-paraston se
buton ki yaad mein bande khuda ke baithe hain

ye sochte hain ki hath aae koi tarz-e-sitam
hamari fikr mein wo sar jhuka ke baithe hain

jahan mein jalwa-faroshi hai aap ko manzur
isi liye to sar-e-baam aa ke baithe hain

yahi to talib-e-didar ki tamanna thi
naqab aap jo rukh se utha ke baithe hain

lagi na kam ho pas-e-marg bhi ye matlab hai
wo shama meri lahad par jala ke baithe hain

hum apne aap ko ai charkh misl-e-naqsh-e-qadam
kisi ki rah-e-talab mein mita ke baithe hain

firaq-e-yar mein kuchh aisi na-umidi hai
ki apni zist se hum hath utha ke baithe hain

hamara un ka usi din to faisla hoga
hum intizar mein roz-e-jaza ke baithe hain

janab-e-shaikh bhi hangam-e-mai-kashi 'hamid'
adab se mahfil-e-rindan mein aa ke baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close