hum hi mein thi na koi baat yaad na tum ko aa sake tum ne hamein bhula diya hum na tumhein bhula sake tum hi na sun sake agar qissa-e-gham sunega kaun kis ki zaban khulegi phir hum na agar suna sake hosh mein aa chuke the hum josh mein aa chuke the hum bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sake raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikayaten rahin dil mein shikayaten rahin lab na magar hila sake shauq-e-visal hai yahan lab pe sawal hai yahan kis ki majal hai yahan hum se nazar mila sake aisa ho koi nama-bar baat pe kan dhar sake sun ke yaqin kar sake ja ke unhen suna sake ijz se aur badh gai barhami-e-mizaj-e-dost ab wo kare ilaj-e-dost jis ki samajh mein aa sake ahl-e-zaban to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil kaun teri tarah 'hafiz' dard ke git ga sake