husn ne sikhin gharib-azariyan ishq ki majburiyan lachaariyan bah gaya dil hasraton ke khun mein le gain bimar ko bimariyan soch kar gham dijiye aisa na ho aap ko karni paden gham-khwariyan dar ke qadmon mein bhi pahunchi na aql ishq hi ke sar rahin sardariyan ek taraf jins-e-wafa qimat-tabal ek taraf main aur meri nadariyan hote hote jaan dubhar ho gai badhte badhte badh gain be-zariyan tum ne duniya hi badal dali meri ab to rahne do ye duniya-dariyan