hum hi nahin jo teri talab mein dere dere phirte hain aur bahut se khak udae baal bikhere phirte hain pas agar sarmaya-e-dil hai sae se hoshiyar raho in rahon mein bhes badal kar chor lutere phirte hain main ne suna hai sahra par bhi chhinta to pad jata hai dekhna ye hai shumi-e-qismat kab din mere phirte hain rah-e-khirad se mumkin tha aawaz ko sun kar laut aate rah-e-junun par jaane wale kis ke phere phirte hain tu ne kabhi tanhai mein do chaar ghadi ye socha hai tere liye hum thokaren khate sanjh sawere phirte hain