hum hi ne sikh liya rahguzar ko ghar karna wagarna us ki to aadat hai dar-ba-dar karna na apni rah thi koi na koi manzil thi tabhi to chaha tha tujh ko hi ham-safar karna thin garche gird mere khamushi ki diwaren tumhaare waste mushkil nahin tha dar karna tumhaari tark-o-talab jism-o-ruh ki uljhan hamein bhi aa na saka khud ko mo'atabar karna teri nigah-e-taghaful-shiar ke sadqe hamein bhi aa hi gaya hai guzar-basar karna jo ab ke dard utha dil mein aakhiri hoga jo ho sake to use mera chaaragar karna main chur chur hun dekho bikhar na jaun kahin meri duaon ko itna na be-asar karna bahaar aai hai is bar kuchh likhen hum bhi sikhao hum ko bhi is dard ko shajar karna