meri be-khudi hai wo be-khudi ki khudi ka wahm-o-guman nahin ye surur-e-saghar-e-mai nahin ye khumar-e-khwab-e-giran nahin jo zuhur-e-alam-e-zat hai ye faqat hujum-e-sifat hai hai jahan ka aur wajud kya jo tilism-e-wahm-o-guman nahin ye hayat aalam-e-khwab hai na gunah hai na sawab hai wahi kufr-o-din mein kharab hai jise ilm-e-raaz-e-jahan nahin na wo khum mein baade ka josh hai na wo husn jalwa-farosh hai na kisi ko raat ka hosh hai wo sahar ki shab ka guman nahin wo zamin pe jin ka tha dabdaba ki buland arsh pe nam tha unhen yun falak ne mita diya ki mazar tak ka nishan nahin