hum hi tanha na teri chashm ke bimar hue is maraz mein to kai hum se giraftar hue sina-e-khasta hamare se hai ghirbaal ko rashk nawak-e-gham jigar-o-dil se zi-bas par hue bikne moti lage bazar mein kaudi kaudi yaad mein teri zi-bas chashm-e-guhar-bar hue roz-e-awwal ki tum aa misr-e-mohabbat ke bich yusuf-e-asr hue raunaq-e-bazar hue naqd-e-jaan-o-dil-o-din de ke liya hum ne tumhein saikdon ahl-e-hawas garche kharidar hue ghar mein le aae tumhein chah se karne shadi ki tum is gham-kade mein sham-e-shab-tar hue rukh-e-taban se tumhaare ki hai khurshid-misal dar-o-diwar sabhi matla-e-anwar hue dhundhte tum ko pade phirte the hum shahr-ba-shahr khwar-o-ruswa-e-sar-e-kucha-o-bazar hue lillahil-hamd ki muddat mein tum ai nur-e-nigah bais-e-raushni-e-dida-e-khun-bar hue khana-e-chashm mein rakhte the shab-o-roz ki tum qurrat-ul-ain hue rahat-e-didar hue dekh kar mehr-o-wafa o karam-o-lutf ko hum jaante yun the ki tum yar-e-wafadar hue jis mein tum hote khushi so hi to hum karte the par nahin jaante kis waste bezar hue ab hamein chhod ke yun zar-o-nizar-o-ghamgin tum kahin aur hi ja yan se numudar hue ye to hargiz hi na thi tum se tawaqqo hum ko ki sitamgar dil-azar jafa-kar hue na wo ikhlas-o-mohabbat hai na wo mehr-o-wafa shewa-e-jaur-o-jafa-o-sitam izhaar hue ya wo altaf-o-karam tha ki sada rahte the ai gul-andam hamare gae ke haar hue is mein hairan hain ki kya aisi hui hai taqsir qatl karne ke tain phirte ho tayar hue tegh-e-khun-rez-ba-kaf khanjar-e-burran ba-miyan har ghadi samne aa jate ho khunkhar hue phir to kya hai sunte ho utho bismillah khinch kar tegh ko aao jo sitamgar hue warna dil khol ke lag jao gale se pyare go ki hum qatl hi karne ke saza-war hue utni hi baat ke kahne mein ki ek bosa do aah ai shokh jo aise hi gunahgar hue tauba karte hain qasam khate hain sunte ho tum phir nahin kahne ke aage ko khabar-dar hue puchhta kya hai tu 'bedar' hamara ahwal dam-e-khuban mein phir ab aae giraftar hue