hum pe sau zulm-o-sitam kijiyega ek milne ko na kam kijiyega bhagte khalq se kuchh kaam nahin qasd hai aap se ram kijiyega gar yahi zulf o yahi mukhda hai ghaarat-e-dair-o-haram kijiyega gar rahi yunhi gul-fishani-e-ashk ja-ba-ja rashk-e-iram kijiyega ji mein hai aaj bajae maktub yahi bait us ko raqam kijiyega mehrbani se phir ai banda-nawaz kahiye kis roz karam kijiyega nind aawegi na tanha 'bedar' ta na khwab us se baham kijiyega