hum hifazat se zar-e-dida-e-tar rakhte hain

hum hifazat se zar-e-dida-e-tar rakhte hain
aur sarfe ko dil-o-jaan-o-jigar rakhte hain

taki aasan safar hijr ka ho jae zara
yaad ki rah mein sarsabz shajar rakhte hain

dast-e-qatil se bahut dur chale hain to magar
pas mein tohfatan us tegh ka dar rakhte hain

hum to 'azad' hain sailani hain banjare hain
waise kahne ko kai shahron mein ghar rakhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close