gul nahin hun mujhse kyunkar rang-o-bu le jaiye

gul nahin hun mujh se kyunkar rang-o-bu le jaiye
justuju-e-be-sabab hun ku-ba-ku le jaiye

is se pahle dar-ba-dar phirne lage ta-gosh-o-lab
zehn-o-dil ke hashiyon par guftugu le jaiye

ab bhi mere zarf mein thodi nami hai tah-nashin
talkhi-e-ayyam khun-e-arzu le jaiye

soch ke dhaaron mein bah jaane se pahle aap bhi
zaiqe ke waste thoda lahu le jaiye

yaad ke sae bhi dakhil un mein ho pate nahin
ek sahra-e-junun ya dasht-e-hu le jaiye

bas yahi donon hain waqif aap ke aamal se
e'tibar-e-dost ya chashm-e-adu le jaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close