hum hue tum hue ki 'mir' hue us ki zulfon ke sab asir hue jin ki khatir ki ustukhwan-shikni so hum un ke nishan-e-tir hue nahin aate kaso ki aankhon mein ho ke aashiq bahut haqir hue aage ye be-adaiyan kab thin in dinon tum bahut sharir hue apne rote hi rote sahra ke goshe goshe mein aab-gir hue aisi hasti adam mein dakhil hai nai jawan hum na tifl-e-shir hue ek dam thi numud bud apni ya safedi ki ya akhir hue yani manind-e-subh duniya mein hum jo paida hue sau pir hue mat mil ahl-e-duwal ke ladkon se 'mir'-ji un se mil faqir hue