kab lag sake jafa ko us ki wafa-e-alam hai jis ka har karishma sabr-azma-e-alam muhtaj phir jahan mein koi nazar na aata karta khuda jo mujh ko hajat-rawa-e-alam hum ko to kuchh na sujha aawe wahi dikha de dekha ho gar kisi ne kuchh ya wara-e-alam aalam agar hai hadis to mujh ko tu bata de kyun ab talak hai wo hi nashw-o-numa-e-alam koi kuchh hi samjhe is ko par apni aankh mein to sath is hudus ke hai sabit baqa-e-alam wo bhi nazar mein apni is waqt jalwa-gar hai aalam jo kuchh ki hoga baad-az fana-e-alam aankhen to tujh ko di hain tuk dekh to sahi tu hai rast kis ke qad par chaspan qaba-e-alam aalam mein aur hum mein ik-tarfa raftagi hai aalam fida hai hum par hum hain faida-e-alam hum ibtida ki puchhen phir baith kar haqiqat hum ko koi bata de gar intiha-e-alam kya lutf aashiqi ka ab rah gaya hamari yan aakhir-e-jawani wan ibtida-e-alam kis ghuncha-lab ki mujh ko yaad aa gai hai is dam jo tang ho gaya hai mujh par faza-e-alam aise se dad-khwahi mahshar mein bhi sitam hai har ek ghamza jis ka ho khun-baha-e-alam kab dad ko kisi ki pahuncha wo ru-e-dilkash hum ne to us ko paya hasrat-faza-e-alam jab aalam-e-haya se begana wo nigah thi pate the tab bhi us ko hum aashna-e-alam hain 'mushafi' hum ab to manind hadse ke dekhen tale hai kis din sar se bala-e-alam