hum ishq mein un makkaron ke be-faeda jalte bhunte hain

hum ishq mein un makkaron ke be-faeda jalte bhunte hain
matlab jo hamara sun sun kar kahte hain hum uncha sunte hain

hum kuchh na kisi se kahte hain hum kuchh na kisi ki sunte hain
baithe hue bazm-e-dilkash mein bas dil ke tukde chunte hain

ulfat ke fasane par donon sar apna apna dhunte hain
hum sunte hain wo kahte hain hum kahte hain wo sunte hain

dil sa bhi koi hamdard nahin hum sa bhi koi dil-soz nahin
hum jalte hain to dil jalta hai dil bhunta hai to hum bhunte hain

taqdir ki gardish se na raha mahfuz hamara daman bhi
chunte the kabhi hum lala-o-gul ab kankar patthar chunte hain

aaj aaenge kal aaenge kal aaenge aaj aaenge
muddat se yahi wo kahte hain muddat se yahi hum sunte hain

aahen na kabhi munh se niklin nale na kabhi aae lab tak
ho zabt-e-tap-e-ulfat ka bura hum dil hi dil mein bhunte hain

murghan-e-chaman bhi meri tarah diwane hain lekin farq ye hai
main dasht mein tinke chunta hun wo bagh mein tinke chunte hain

ho bazm-e-tarab ya bazm-e-alam har majmea mein har mauqea par
hum shama ke shoale ki surat jalte bhi hain sar bhi dhunte hain

gulzar-e-jahan ki nairangi aazar jinhen pahunchati hai
kanton ko hata kar daman mein wo phul chaman ke chunte hain

aazar-o-sitam ke shikwon ka jhagda bhi chuke qissa bhi mite
tum se jo kahe kuchh baat koi kah do use hum kab sunte hain

ghabra ke jo main un ke dar par deta hun kabhi aawaz unhen
to kahte hain wo thahro dam lo aate hain ab afshan chunte hain

ai 'nuh' kahan wo josh apna wo taur apne wo baat apni
tufan uthate the pahle ab hasrat se sar dhunte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close