tumhaare jashn ko jashn-e-farozan hum nahin kahte lahu ki garm bundon ko charaghan hum nahin kahte agar had se guzar jae dawa to ban nahin jata kisi bhi dard ko duniya ka darman hum nahin kahte nazar ki intiha koi na dil ki intiha koi kisi bhi husn ko husn-e-farawan hum nahin kahte kisi aashiq ke shane par bikhar jae to kya kahna magar is zulf ko zulf-e-pareshan hum nahin kahte na bu-e-gul mahakti hai na shakh-e-gul lachakti hai abhi apne gulistan ko gulistan hum nahin kahte bahaaron se junun ko har tarah nisbat sahi lekin shaguft-e-gul ko aashiq ka gareban hum nahin kahte hazaron sal bite hain hazaron sal bitenge badal jaegi kal taqdir-e-insan hum nahin kahte