hum jahan rahte hain khwabon ka nagar hai koi is kharabe mein na diwar na dar hai koi ja basa tha jo kisi hijr ke sahra mein kabhi ai hawao kaho is dil ki khabar hai koi surat-e-mauj-e-saba log idhar se guzre ye to anjaani hawaon ki dagar hai koi hijr-e-didar bhi mahrumi-e-didar bhi hijr jo kabhi khatm na ho aisa safar hai koi main ki andar se pighalta hi chala jata hun mere yakh-basta badan mein bhi sharar hai koi ye faza ras nahin dasht-mizajon ke liye is saman-zar mein patthar hai na sar hai koi jism aur jaan ka ye aazar ye mahshar 'akbar' kisi andesha-e-baatin ka asar hai koi