juzw-o-kul ka hum is andaz se rishta samjhe dekh kar qatre ko mahiyyat-e-dariya samjhe har ada teri ham-ahang thi dil se itni har ada ko teri hum dil ka taqaza samjhe hum wo khud-bin hain ki hangama-e-dil ke aage sare hangama-e-giti ko tamasha samjhe hum ko mitti ke gharondon ki haqiqat malum jism ki khak ko hum nafs ka saya samjhe hum ki har nisbat-e-mauhum ko apnate rahe ek shikasta se talluq ko bhi kitna samjhe ustuwar itna hua rishta-e-awaz 'akbar' dil ki dhadkan ko bhi hum dost ka lahja samjhe