hum jal rahe the aur ba-zahir nishan na tha dil ki lagi wo aag thi jis mein dhuan na tha roka tha mujh ko meri khudi ke hijab ne dekha to un ke dar pe koi pasban na tha mauhum jalwa tha tere aks-e-khayal ka badla khayal tu ne to sara jahan na tha wo kar rahe the mujh ko wafaon mein pukhta-kar mashq-e-sitam hai madd-e-nazar imtihan na tha parwaz-e-fikr bhi rahi zauq-e-nazar ke sath pabandi-e-qafas se mujhe kuchh ziyan na tha tha eatibar-e-naqs-o-kamal-e-nigah-e-shauq wo jalwa jo ayan bhi nahin tha nihan na tha hum ko to iltifat-e-karam ka raha khayal warna zaban pe harf-e-tamanna giran na tha bijli chamak chamak ke nazar dalti rahi girti kahan chaman mein mera aashiyan na tha thi zindagi muhaal gham-e-ishq ke baghair jo gham diya gaya tha gham-e-jawedan na tha inkar karte kya ki zalum-o-jahul the ye to nahin ki bar-e-amanat giran na tha 'shakir' hua wafa-e-musalsal se kaamyab aaghaz-e-ishq mein to wo kuchh mehrban na tha