dayar-e-husn ki hangama-samani nahin jati pareshan kar-e-ulfat ki pareshani nahin jati musallam hain hazaron dastanen husn ko lekin wahan jo aashiqi ki baat ho mani nahin jati qubul-e-tauba-o-afw-e-gunah sab kuchh sahi lekin kabhi na-kardani ki khud pashemani nahin jati mohabbat wo musibat hai ki jis par bas nahin chalta ba-asani ye aati hai ba-asani nahin jati meri taswir-e-wahshat le ke ab ahbab kya lenge ye diwane ki surat hai jo pahchani nahin jati shab-e-gham mand pad jati hai jab mahfil sitaron ki hamare dagh-ha-e-dil ki tabani nahin jati gareban-chaak sahra-gard shorish qaidi-e-zindan bahar-surat junun ki fitna-samani nahin jati qayamat ke siwa kya hoga us ki be-hijabi mein ki jis ki ek jhalak se dil ki hairani nahin jati na bol is par hawa-e-dahr ki ek lahr hai ye bhi hansi aai to kya gul ki pareshani nahin jati hazaron yas-o-hirman dard-o-gham ka hai hujum is mein mere wahshat-kade ki phir bhi virani nahin jati mohabbat 'shakir' apne sath aah-o-girya lai hai meri aadat hai ye aadat ba-asani nahin jati