hum jis taraf nikal paDe waraftagi ke sath

hum jis taraf nikal pade waraftagi ke sath
manzil ne chum chum liya sarkhushi ke sath

hum jaante hain koi bahana tarash kar
pesh aaenge wo hum se badi be-rukhi ke sath

wo jannat-e-nigah jo hai ain-e-zindagi
aksar uthi hai meri taraf barhami ke sath

shokhi si kuchh jhalakti hai un ki nigah se
chalte to hain qadam-ba-qadam sadgi ke sath

kuchh bhi na kah sake mere haal-e-tabah par
sunte rahe fasana-e-gham khamushi ke sath

mayus ho ke palte jo aiwan-e-husn se
phir aarzu lipat gai diwangi ke sath

wo samne hai manzil-e-jaanan ki sarzamin
ai mukhlisan-e-ishq chalo be-khudi ke sath

matlab hi jaise kuchh unhen 'iqbaal' se nahin
aae bhi hain wo dil mein to kis sadgi ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close