har-nafas taza sitam hote hain

har-nafas taza sitam hote hain
jab tere shahr mein hum hote hain

phul khilte hain jo us ke lab par
rashk-e-gulzar-e-iram hote hain

dil mein bas jaen jo arman ki tarah
aise ashaar to kam hote hain

hum ki hain shah-e-dayar-e-khuban
hadaf-e-tesha-e-gham hote hain

thes lag jae na khuddari ko
lo wo mail-ba-karam hote hain

gham-e-mahbub se badh kar nahin gham
yun to har tarah ke gham hote hain

jin ko dekhe se koi yaad aae
aise ahbab bhi kam hote hain

zehn-e-shair mein hamesha 'iqbaal'
na-tarashida sanam hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close