hum jo ek lahr mein lahraate hue jhumte hain kyun na aisa ho ki hum sath tere jhumte hain raqs-e-darwesh ka ye silsila duniya se na jod hum kisi aur hi lazzat ke liye jhumte hain aisi manzil pe le aaya hai mera raqs mujhe ab kai silsile bhi sath mere jhumte hain dol jae na tere dolne se partaw-e-nur tere hamrah kai shama-kade jhumte hain zara dekho to sahi ahl-e-mohabbat ki taraf kitni sarmastiyan aankhon mein liye jhumte hain raushni raaz hai aisa ki samajh aane par kitne sar ghumte hain kitne diye jhumte hain main akela to nahin jhum raha hun 'sayyad' tare bhi sath mere raat gae jhumte hain