go zabanen lakh hon dil ki sada to ek hai jitne hon andaz lekin muddaa to ek hai kuchh mahazon par bahaen kuchh bahaen khet mein mukhtalif ja par sahi khun-e-wafa to ek hai har taraf se imtihan-gah-e-wafa mein jaunga qissa-e-dar-o-rasan ka marhala to ek hai dar ho maqtal ho ya ho tur ka jalwa kahin jazba-e-zauq-e-mohabbat ka sila to ek hai main samajhta hun ye duniya hai hasinon se bhari kya karun zauq-e-nazar ka muddaa to ek hai aah nale dard-o-gham akhtar-shumari raat ki ai masih-e-waqt in sab ki dawa to ek hai dur hon chaara-garan-e-waqt bas ab dur hon 'asr' ki taklif ka dard-ashna to ek hai