hum jo guzre hue lamhon ki taraf dekhte hain

hum jo guzre hue lamhon ki taraf dekhte hain
aisa lagta hai ki sadiyon ki taraf dekhte hain

jin ko malum hai nindon ke ujadne ka azab
jagti aankh se khwabon ki taraf dekhte hain

yaad aata hai hamein aap ka chehra aksar
hum agar chand-sitaron ki taraf dekhte hain

muntazir honge kai din se kisi ke shayad
log hasrat se jo raston ki taraf dekhte hain

us ki ek bar nazar padne pe maghrur na ban
log bazar mein kitnon ki taraf dekhte hain

aisi tartib se zakhmon ko siya hai main ne
chaaragar ghaur se tankon ki taraf dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close