dubo ke mulk se tere hisab ka suraj nikalna hai hamein inqalab ka suraj kisi bhi shakhs ko late nahin wo nazron mein bulandiyon pe abhi hai janab ka suraj mita ke zulm ki rakh dega ye tamazat ko nikal raha hai nai aab-o-tab ka suraj hai nur chhaya hua har taraf zamane mein chamak raha hai kisi ke shabab ka suraj agar gharib ka bebas ka dil dukhaega jala ke chhodega tujh ko azab ka suraj jabin pe aap ki sajdon ke gar nishan honge lahad ko rakkhega raushan sawab ka suraj khuda ki zat se ummid hai ye 'shad' hamein ugega ek din apne hisab ka suraj