hum jo guzre un ki mahfil ke qarib ek kasak si rah gai dal ke qarib sab ke sab baithe the qatil ke qarib be-kasi thi sirf bismil ke qarib zindagi kya thi ajab tufan thi ab kahin pahunche hain manzil ke qarib is qadar khud-rafta-e-sahra hue bhul kar dekha na mahmil ke qarib hae us mukhtar ki majburiyan jis ne dam toda ho manzil ke qarib zindagi-o-maut wahid aaina aadmi hai hadd-e-fasil ke qarib ye tajahul aarifana hai janab bhul kar jaana na ghafil ke qarib tarbiyat ko husn-e-sohbat chahiye baithiye ustad-e-kaamil ke qarib hosh ki kahta hai diwana sada aur mayusi hai aaqil ke qarib dekhiye un bad-nasibon ka maal wo jo dube aa ke sahil ke qarib chhai hai 'gulzar' mein fasl-e-khizan phul hain sab gul shamail ke qarib