bhala kah diya ya bura kah diya jise jo bhi achchha laga kah diya isi baat par wo bigadne lage ki hum ne unhen chand sa kah diya meri aankh kuchh aisi bharma gai dhuen ko bhi main ne ghata kah diya khuda hi samajhne lage khud ko tum kisi ne jo tum ko khuda kah diya jise sun ke aap itne na-khush hue wo hum bhi sunen hum ne kya kah diya kiya zabt honton pe main ne bahut nigahon ne sab majra kah diya suni dil se 'rana' jab us ne ghazal to khush ho ke sad-marhaba kah diya