hum jun chakor ghash hain aji ek yar par bulbul ki tarah ji nahin dete hazar par gar ji mein kuchh nahin hai to dekhe hai kyun mujhe ungli ko pher pher ke teghe ki dhaar par pa-bos-e-yar ki hamein hasrat hai ai nasim aahista aaiyo tu hamare mazar par rukhsar par numud hua khat khabar bhi hai yani kamar kasi hai khizan ne bahaar par 'rangin' to le ke baithe hain asbab-e-aish sab aawe ba-shart-e-yar bhi apne qarar par