hum kabhi chashm-e-zamana mein na pinhan honge hum har ek daur mein har dil mein numayan honge dard ban kar nafas-e-jaan mein sama jaenge soz ban kar haram-e-dil mein farozan honge hum khizan ho ke bhi hain raunaq-e-bazm-e-alam hum na honge to kahan jashn-e-bahaaran honge hum jalenge ki tere nam ki lo raushan ho hum ba-har-rang teri zist ka saman honge sozish-e-dard mein hai 'arsh' qayamat pinhan wo bhi kya honge jo is dard ka darman honge