hum ki khamosh hue ahl-e-bayan dekhte hain raaz andaz-e-takallum se ayan dekhte hain jaan-lewa hai fareb-e-rah-e-gulzar-talab nashtar-e-shauq qarib-e-rag-e-jaan dekhte hain hai usi ghar mein kahin gauhar-e-ummid nihan su-e-virana-e-dil bahr-e-aman dekhte hain kaise banta hai lahu surkhi-e-afsana-e-dil kaise banta hai qalam nok-e-sinan dekhte hain aatish-e-shauq ko rakhte hain ba-har-taur jawan khak-e-gulshan mein zar-e-gul ke nishan dekhte hain khashmagin aaj wo yun hain ki nahin tab-e-sukhan 'arsh' hum aaj tera zor-e-bayan dekhte hain