hum kabhi ishq ko wahshat nahin banne dete dil ki tahzib ko tohmat nahin banne dete lab hi lab hai to kabhi aur kabhi chashm hi chashm naqsh tere teri surat nahin banne dete ye sitare jo chamakte hain pas-e-abr-e-siyah tere gham ko meri aadat nahin banne dete un ki jannat bhi koi dasht-e-bala hi hogi zinda rahne ko jo lazzat nahin banne dete dost jo dard batate hain wo nadani mein dar-haqiqat meri sirat nahin banne dete fikr fan ke liye lazim magar achchhe shaer apne fan ko kabhi hikmat nahin banne dete wo mohabbat ka talluq ho ki nafrat ka 'nadim' rabte zist ko khalwat nahin banne dete