dubne walo hawaon ka hunar kaisa laga ye kinara ye samundar ye bhanwar kaisa laga ponchhte jaiye daman se lahu mathe ka sochte jaiye diwar ko sar kaisa laga hat gai chhanw magar log wahin baithe hain dasht ki dhup mein jaane wo shajar kaisa laga dar-o-diwar hain main hun meri tanhai hai chandni raat se puchho mera ghar kaisa laga is se pahle kabhi ponchhe the kisi ne aansu un ka daman tujhe ai dida-e-tar kaisa laga sahl thin marhala-e-tark-e-wafa tak rahen is se aage koi puchhe ki safar kaisa laga aankh se dekh liya tark-e-watan ka manzar ghar jahan chhod gae the wo khandar kaisa laga wo mujhe sun ke badi der se chup hai 'qaisar' jaane us ko meri ghazlon ka hunar kaisa laga