hum kahan aur tum kahan jaanan hain kai hijr darmiyan jaanan raegan wasl mein bhi waqt hua par hua khub raegan jaanan mere andar hi to kahin gham hai kis se puchhun tera nishan jaanan aalam-e-be-karan-e-rang hai tu tujh mein thahrun kahan kahan jaanan main hawaon se kaise pesh aaun yahi mausam hai kya wahan jaanan raushni bhar gai nigahon mein ho gae khwab be-aman jaanan dard-mandan-e-ku-e-dildari gae ghaarat jahan tahan jaanan ab bhi jhilon mein aks padte hain ab bhi nila hai aasman jaanan hai jo purkhon tumhaara aks-e-khayal zakhm aae kahan kahan jaanan