nashat-e-gham bhi mila ranj-e-shad-mani bhi magar wo lamhe bahut mukhtasar the fani bhi khuli hai aankh kahan kaun mod hai yaro dayar-e-khwab ki baqi nahin nishani bhi ragon mein ret ki ek aur tah jami dekho ki pahle jaisi nahin khun mein rawani bhi bhatak rahe hain taaqub mein ab sarabon ke mila na jin ko samundar se bund pani bhi zamin bhi hum se bahut dur hoti jati hai dara rahi hai khalaon ki be-karani bhi tawil hone lagi hain isi liye raaten ki log sunte sunate nahin kahani bhi